Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azaal se dil main makeen sahi
Wo nigah -e- shauq se door hain, rag-e-jaan se lakh qareen sahi
Hamein jaan daine hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi
Sar-e-toor ho sar-e-hasher ho, hamein intzaar qabool hai
Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
Na ho un pe kuch bass mera, k ye aashqi hai hawas nahi
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi
Mujhe bhaitne ki jaga milay' meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjumaan mein agar nahi' teri anjumaan k qareen sahi
Tera dar tau hum ko na mil saka ' teri rahguzar ki zameen sahi
hamain sajda karne se kaam hai' jo wahan nahin tau yahin sahi
Meri zindagi ka naseeb hai nahi door mujh se qareeb hai
Mujhay uska gham tau naseeb hai wo agar nahin tu nahi sahih
Jo ho faisla wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
Jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi
Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hm
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi.
Very very nice poetry
ReplyDelete(h)
ReplyDelete