Loading...
Sunday, June 1, 2014




mujhe apne zabt pe naaz tha sar e bazm raat ye kya hua...
meri aankh kaise chalak gayi mujhe ranj hai ye bura hua...

meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi...
abhi roshni abhi teergi na jala hua na bujha hua...

mujhe jo bhi dushman e jaan mila wohi pukhta kaar e jafa mila...
na kisi ki zarb galat pari na kisi ka teer khata hua...

mujhe aap q samajh na sake kabhi apne dil se bhi pochye...
meri danstan e hayaat ka to warq warq hai khula hua...

jo nazar bacha k guzar gaye mere saamne se abhi abhi...
ye mere hi sheher k log thay mere ghar se ghar hai mila hua...

hamai is ka koi bhi huq nahi k shareeq e bazm e khuloos hon...
na hamare paas naqaab hai na kuch aasteen mai chupa hua...

mere ek gosha e fikr mai meri zindagi se azeez tar...
mera ek aisa bhi dost hai jo kabhi mila na juda hua...

mujhe ik gali mai para hua kisi badnaseeb ka khat mila...
kahin khoon e dil se likha hua kahin aansuoon se mita hua...

mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarha...
koi manzilon ka thaka hua kahin raaste mai luta hua...

hamai apne ghar se chalay hue sar e raah umer guzar gayi...
koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua...

Next
This is the most recent post.
Older Post

0 comments:

Post a Comment

 
TOP